aap jab chehra badal kar aa gae
sach to ye hai hum bhi dhoka kha gae
aap ab aae hain fasl-e-gul ke baad
phul jab ummid ke murjha gae
ashk kya chhalke hamari aankh se
lafz bhi aawaz mein bal kha gae
hum tumhaare aaine mein qaid the
tum to bas bekar mein ghabra gae
toD lae shisha-e-dil phir kahin
tum andhere mein kahan Takra gae
aap ne gham hi diye bas gham hamein
aap kab KHushiyan yahan barsa gae
Ghazal
Aap jab chehra badal kar aa gae
Govind Gulshan