aap hi se na jab raha matlab
phir raqibon se mujh ko kya matlab
aarzu mere dil ki bar aae
sab ka pura kare KHuda matlab
kar na mujh ko subuk raqibon mein
yun hansi mein na to uDa matlab
ruk gai baat ta-zaban aa kar
dil ka dil hi mein rah gaya matlab
zid hi zid shaiKH o barhaman ki thi
warna donon ka ek tha matlab
meri ek baat mein hain sau pahlu
aur sab ka juda juda matlab
ghair ki aur is qadar tarif
hum samajhte hain aap ka matlab
agli baaton ka zikr jaane do
aaj is tazkire se kya matlab
KHush ho na-faham bhi samajh ke 'hafiz'
saf aisa ho sher ka matlab
Ghazal
Aap hi se na jab raha matlab
Hafeez Jaunpuri