aap hi naKHuda raha hun main
aap hi Dubta raha hun main
ishq se aashna raha hun main
husn ka muddaa raha hun main
kahin tera bharam na khul jae
KHud ko KHud se chhupa raha hun main
raunaq-e-do-jahan mujhi se hain
aa raha hun main ja raha hun main
jaise koi bhi haq na ho mujh ko
yun tujhe dekhta raha hun main
ai junun ab to rahbari farma
harf-e-matlab pe aa raha hun main
mere zimme hai kis qadar mushkil
jagte ko jaga raha hun main
ai KHuda tujh se kuchh na mang sakun
ye dua mangta raha hun main
gumrahi ka mujhe na de ilzam
tujh ko pahchanta raha hun main
ye zamana bhi dekhna tha mujhe
tujh se aankhen chura raha hun main
zarf mera buland hai 'tariq'
jaan kar haarta raha hun main
Ghazal
Aap hi naKHuda raha hun main
Gulam Rasool Tariq