aap hi apna main dushman ho gaya
tap gaya sona to kundan ho gaya
aur nikhra subh-e-kazib ka suhag
KHatm jab taron ka indhan ho gaya
kis se puchhun kho gai sita kahan
ban ka har saya hi rawan ho gaya
jab dar-o-diwar chamkae gae
ghar ka ghar hi un ka darpan ho gaya
bad-nasibi qafile ki dekhiye
jo bana rahbar wo rahzan ho gaya
wo nahin to un ka har lamha KHayal
har-nafas par ek uljhan ho gaya
mangte phirte hain gul KHaron se chhanw
kya se kya dastur-e-gulshan ho gaya
phir na bichhDe is tarah se mil gae
jaise do sayon ka bandhan ho gaya
be-KHayali mein yunhi phaila tha hath
jab chhua tum ne to daman ho gaya
jaane kyun gum ho gai barkha ki dhup
ruKH mera jab su-e-chilman ho gaya
Ghazal
Aap hi apna main dushman ho gaya
Wajd Chughtai