aap hain be-gunah kya kahna
kya safai hai wah kya kahna
us se haal-e-tabah kya kahna
jo kahe sun ke wah kya kahna
hashr mein ye unhen nai sujhi
ban gae dad-KHwah kya kahna
uzr karna sitam ke baad tumhein
KHub aata hai wah kya kahna
tum na roko nigah ko apni
hum karen zabt-e-ah kya kahna
tujh se achchhe kahan zamane mein
wah ai rashk-e-mah kya kahna
ghair par lutf-e-KHas ka izhaar
mujh se TeDhi nigah kya kahna
ghair se mang kar subut-e-wafa
ban gae KHud gawah kya kahna
dil bhi le kar nahin yaqin-e-wafa
hai abhi ishtibah kya kahna
balbe chitwan teri maaz-allah
uf re TeDhi nigah kya kahna
un gunon par najat ki ummid
'be-KHud'-e-ru-siyah kya kahna
Ghazal
Aap hain be-gunah kya kahna
Bekhud Dehlvi