aap dil khol kar be-dad pe be-dad karen
aur hum zabt se len kaam na fariyaad karen
hashr mein us ki nazar ho gai nichi hum se
ho sake jin se wo ab shikwa-e-jallad karen
kuchh to farmaiye insaf agar hai koi chiz
aap ko dil se bhulaen to kise yaad karen
dil-e-betab sambhalta hi nahin sine mein
ek mazlum ki ab aap kuchh imdad karen
aaj ek qabr pe 'alim' ye likha dekha tha
sakin-e-gulshan-e-hasti na mujhe yaad karen
Ghazal
Aap dil khol kar be-dad pe be-dad karen
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi