aap bulaen hum na aaen aisi koi baat nahin
duniya walon se Dar jaen aisi koi baat nahin
tere siwa hain is duniya mein apne bhi gham-KHwar bahut
sab ko dil ka raaz sunaen aisi koi baat nahin
rah-e-wafa mein hum ne yaro sari umr guzari hai
chalte chalte Thokar khaen aisi koi baat nahin
sare rishte sare bandhan pyar ke ab tak qaem hai
un ko apne dil se bhulaen aisi koi baat nahin
miThi miThi baaten karna hum se bhi to aati hain
lekin aap ka dil bahlaen aisi koi baat nahin
teri judai gham ka aalam ye sab hai taqdir ki den
ro ro kar hum ashk bahaen aisi koi baat nahin
gham ke mare is duniya mein 'arif' ab tak zinda hain
gham se tumhaare hum ghabraen aisi koi baat nahin
Ghazal
Aap bulaen hum na aaen aisi koi baat nahin
Syed Arif Ali u0027Arifu0027