aap bik jae koi aisa KHaridar na tha
mere yusuf ke liye misr ka bazar na tha
KHun hua ashk bana aur mizha se Tapka
dil ki lazzat-kash-e-rangini-e-inkar na tha
mubtala hun tera jab se sanam-e-kufr-farosh
zulf-e-ta-dosh na thi dosh pe zunnar na tha
qissa-e-tur kabhi gosh-e-haqiqat se suno
shauq-e-didar ba-juz hasrat-e-didar na tha
ghaza-e-chehra-e-gul naqsh-o-nigar-e-hasti
koi qatra dil-e-KHun-gashta ka bekar na tha
le gai wahshat-e-dil kal mujhe us aalam mein
besh-az-nuqta jahan gumbad-e-dwwar na tha
lazzat-e-dard se waqif tha dil-e-zar 'asar'
warna mar jaana tere hijr mein dushwar na tha
Ghazal
Aap bik jae koi aisa KHaridar na tha
Asar Lakhnavi