aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai
nim-wa darichon se jhankti hai tanhai
jag jag uThte hain gan-kali ke miThe sur
chheD chheD jati hai gesuon ki purwai
yun mere KHayalon mein teri yaad raqsan hai
jis tarah fazaon mein gunjti hai shahnai
gard-e-rah bhi chup hai sang-e-mil bhi KHamosh
taliban-e-manzil ki kuchh KHabar nahin aai
ek taraf gham-e-duniya ek taraf teri yaaden
aaj kal hayulon se khelte hain saudai
jin gulon ne paya ho rang-o-bu bagulon se
kaun chhin sakta hai un gulon ki ranai
ye tane tane abru ye hara-bhara chehra
hum ne qahr si lazzat pyar mein nahin pai
ab to saf sunta hun apne dil ki har dhaDkan
aur kya dikhaegi ye tawil tanhai
bazm-e-dost mein 'shahzad' tum bhi kuchh hanso bolo
chup rahe se hoti hai dur dur ruswai
Ghazal
Aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai
Shahzad Ahmad