اردو हिंदी
Aap apni zat mein simTa hua aalam tamam | Shaahi Shayari
aap apni zat mein simTa hua aalam tamam

Ghazal

Aap apni zat mein simTa hua aalam tamam

Nashtar Khaanqahi

;

aap apni zat mein simTa hua aalam tamam
tum ko yun jaana ki tha jaana hua aalam tamam

kal to begana tha lekin aaj hai begana-tar
ek sar-e-angusht par rakkha hua aalam tamam

dastaras ka zikr kya hai aagahi ki baat kya
ru-ba-ru hai gard mein uDta hua aalam tamam

gar badal jate to thi duniya ki har shai hasb-e-haal
hum nahin badle to hai badla hua aalam tamam

jaanta hun main agar jaga to ye so jaega
ab hun KHwabida to hai jaga hua aalam tamam

ungliyon ke pech se pechida girhen tah-ba-tah
naKHunon ke darmiyan uljha hua aalam tamam

ek meri KHatir jo the sab ke dua-go kya hue
uf ye mahrumi ki hai sahma hua aalam tamam