aap apne raqib hain hum log
kis qadar bad-nasib hain hum log
daulat-e-dard se hain mala-mal
go ba-zahir gharib hain hum log
hum ko har haal mein ujaDna hai
aashiqon ka nasib hain hum log
jitne apni KHudi se dur hue
utne un se qarib hain hum log
phir na sanwre bigaD ke hum shayad
dushmanon ka nasib ka nasib hain hum log
maut se khelte hain sham-o-sahar
zindagi ke qarib hain hum log
un ki nazron se dur hain phir bhi
un ke dil se qarib hain hum log
hum se puchho haqiqaten gham ki
der se gham-nasib hain hum log
kis ko ja kar sunain haal apna
ajnabi hain gharib hain hum log
dosh-e-hasti pe haar hain 'rana'
aaj-kal ke adib hain hum log
Ghazal
Aap apne raqib hain hum log
Birj Lal Raana