aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
arsh se aaj asar ta-lab-e-fariyaad aaya
ek hi aah mein kafir ko KHuda yaad aaya
jaur ke sath tera lutf bhi kuchh yaad aaya
honT par ban ke hansi shikwa-e-bedad aaya
aaj shab mein koi sau bar to bijli chamki
aaj din mein koi sau bar to sayyaad aaya
mere dil mein ajab andaz se aaya nawak
main ye samjha koi mashuq-e-pari-zad aaya
kya kaha phir to kaho bhul gae hum kis ko
sadqe us ke jo tumhein bhul ke yun yaad aaya
fitna-e-hashr ne bhi uTh ke balaen le lin
ajab andaz se mera sitam ijad aaya
san se jhonka koi aaya jo tera baad-e-bahaar
chaunk uThe murgh-e-chaman nawak-e-sayyaad aaya
are qatil abhi bah jaega pani ho kar
samne mere agar KHanjar-e-faulad aaya
yahi gulshan ki hawa hai yahi gulshan ki bahaar
kabhi sayyaad kabhi nawak-e-bedad aaya
nazar aati hain kahin aisi bhi kafir shaklen
dekh kar husn-e-KHuda-dad KHuda yaad aaya
pas se nim nigah dur se mizhgan-e-daraaz
chubhne wale nae nashtar liye fassad aaya
na suna hum ne kabhi bagh mein aai hai bahaar
jo suna bhi to suna hum ne ki sayyaad aaya
kyun nigahen ye gaDhi hain shikan-e-daman par
sadqe andaz-e-haya ke tujhe dil yaad aaya
aashiyan barq ko saunpa mujhe aai jo tarang
aur main uD ke idhar ta-kaf-e-sayyaad aaya
asar aaya bhi to jaise koi fariyaadi ho
hath mein thame hue daman-e-fariyaad aaya
dast-e-matam liye baiThi rahi shirin apne
tesha achchha ki tere kaam to farhad aaya
aisi zid hai to unhen kaun manae yarab
wo ye machle hain ki koi mujhe kyun yaad aaya
liye KHanjar ki rawani thi har ek mauj-e-KHiram
aaj maqtal mein nai shan se jallad aaya
main jo pahuncha to liye uTh ke bagulon ne qadam
najd mein dhum machi qais ka ustad aaya
baDh ke le halqa-e-aghosh mein ai dast-e-junun
beDiyan kaTne kis lutf se haddad aaya
Dar ke sahra-e-bala se jo pukara main ne
qais ne di mujhe aawaz ki farhad aaya
sadqe honTon ke jinhen naz-e-masihai hai
sadqe baaton ke jinhen shewa-e-jallad aaya
de uThin KHun ragen nam jo nashtar ka liya
rang aisa meri taswir mein bahzad aaya
tifl-e-ashk aa ke meri god mein machle jo 'riyaz'
dil-e-marhum mujhe aaj bahut yaad aaya
Ghazal
Aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
Riyaz Khairabadi