aao ye KHamoshi toDen aaine se baat karen
thoDi hairat aankh mein bhar len thoDi si KHairaat karen
hijr o visal ke rang the jitne tariki mein Dub gae
tanhai ke manzar mein ab kaun sa kar-e-hayat karen
dekho is ke baad aaegi aur andheri kali raat
dhup ke in TukDon ko chun len jama yahi zarraat karen
pyason ke jhurmuT mein hain aur itna soch rahe hain hum
aankhon ke is bojhal-pan ko kaise nahr-e-furaat karen
pani pani kahne wale dariya dariya Dub gae
kis munh se sahil walon se tishna-labi ki baat karen
Ghazal
Aao ye KHamoshi toDen aaine se baat karen
Mahtab Haider Naqvi