aao to bahal jae mera dil-e-diwana
gulshan hai bahaaran hai labrez hai paimana
jab ghaur se sunte hain wo ishq ka afsana
kis tarah machalta hai mera dil-e-diwana
aankh uThne lagi teri aur sharm zara kam ho
shishe mein dikha dunga phir tujh ko pari-KHana
is shoKH-nigahi ki tarif nahin mumkin
laDti hai nazar jis se ban jati hai begana
ye abr shafaq-agun ye sard hawa saqi
ek aur surahi la ek aur de paimana
aashiq ka abhi rutba samjha hi nahin tu ne
dekhne mein hai diwana matlab ka hai farzana
wo bazm mein aa baiThe ab shama bujha dije
marne ko wo aata hai parwane pe parwana
'shankar' ki ghazal sun kar tarif karo dil se
sab sanche mein Dhalte hain ye qaul-e-hakimana

Ghazal
Aao to bahal jae mera dil-e-diwana
Shankar Lal Shankar