aao taqdir ko tadbir bana kar dekhen
in andheron ko ujalon se mila kar dekhen
aaj zalim ko bhi majbur bana kar dekhen
hashr se pahle hi ek hashr uTha kar dekhen
in buton se to koi kaam na nikla apna
KHair ab yunhi sahi yaad-e-KHuda kar dekhen
chand-taron mein jo aabaad hue jate hain
wo kisi dil mein bhi ghar apna bana kar dekhen
kaun apna hai yahan kaun hai begana 'ziya'
dhajjiyan hum bhi to daman ki uDa kar dekhen
Ghazal
Aao taqdir ko tadbir bana kar dekhen
Bakhtiyar Ziya