aao phir garmi dayar-e-ishq mein paida karen
tur ki miTTi se taKHliq-e-yad-e-baiza karen
husn mein ho ishq ki bu ishq mein ho rang-e-husn
phir murattab rang-o-bu-e-nau se ek duniya karen
jitne naghme ho chuke hain gum faza-e-dahr mein
un ko phir aawaz den ek saz mein yakja karen
mil chuke hain KHak mein jo TuT kar phulon ke jam
un ko dast-e-shaKH mein phir saghar-o-mina karen
zindagi do din ki us par ye jahan-ijadiyan
ehtimam itna karen 'simab' aur phir kya karen
Ghazal
Aao phir garmi dayar-e-ishq mein paida karen
Seemab Akbarabadi