aao patjhaD mein kabhi haal hamara dekho
KHushk patton ke sulagne ka tamasha dekho
pas aa kar mere baiTho mujhe apna samjho
jab bhi ruThi hui yaado mujhe tanha dekho
phul har shaKH pe khilte hain bikhar jate hain
kya tamasha hai sar-e-naKHl-e-tamanna dekho
kabhi ham-rang-e-zamin hai kabhi ham-dosh-e-falak
kohsaron se uchhalta hua dariya dekho
khulti jati hai shafaq rangi-e-KHun-ta-ba-sahar
shab ke sine mein jo paiwast hai neza dekho
yun to ghar hi mein simaT aai hai duniya sari
ho mayassar to kabhi ghum ke duniya dekho
unhi aankhon mein utar jati hai har sham 'jamil'
unhi aankhon se nikalta hai sawera dekho
Ghazal
Aao patjhaD mein kabhi haal hamara dekho
Jameel Malik