aao na mujh mein utar jao ghazal hone tak
tum zara aur nikhar jao ghazal hone tak
meri KHatir hi Thahar jao ghazal hone tak
aarzu hai ki na ghar jao ghazal hone tak
tum agar chaho to har sher shagufta ho jae
bas mere dil mein utar jao ghazal hone tak
chand ban kar meri shohrat mein ujala kar do
raushni ban ke bikhar jao ghazal hone tak
meri jaanib se ijazat hai chale jao magar
dil ba-zid hai to Thahar jao ghazal hone tak
meri aankhon se mere dil mein pahunch kar tum bhi
dil ki dhaDkan mein utar jao ghazal hone tak
kash sab rang ke hun aaj mere sab ashaar
rang har lafz mein bhar jao ghazal hone tak
mere fan se tumhein be-laus mohabbat hai agar
meri rag rag mein utar jao ghazal hone tak
sher kahne ka saliqa bhi sikha do mujh ko
aaj ye kaam bhi kar jao ghazal hone tak
shairi mein jo hai rutbe ki tamanna 'rumi'
fikr ki tah mein utar jao ghazal hone tak
Ghazal
Aao na mujh mein utar jao ghazal hone tak
Rumana Rumi