aao kuchh shaghl karen baiThe hain uryan itne
phaDen sina hi go hath aae gareban itne
aah koi jo use aan ke samjhata ho
dekhte hain khaDe hindu o musalman itne
sach kah ai baad-e-saba hai kisi gul par ye bahaar
tu ne dekhe hain zamane ke gulistan itne
shor mahshar ka rahe kyun na tere kuche mein
jis jagah howen ikaTThe dil-e-nalan itne
hum se wamandon ko allah nibahe to nibhen
tan so ye KHasta o darpesh bayaban itne
dam bhi kuchh chiz hai jab chuk gaya baat tamam
kaun si zist pe tu karta hai saman itne
tujh ko 'qaem' rakhe allah bahut sa ai amir
mujtama sae mein hain jis ke suKHan-dan itne
Ghazal
Aao kuchh shaghl karen baiThe hain uryan itne
Qayem Chandpuri