aao ki abhi chhanw sitaron ki ghani hai
phir sham talak dasht-e-gharib-ul-watani hai
kuchh bhi ho magar husn ki fitrat mein abhi tak
pabandi-e-rasm-o-rah-e-KHatir-shikani hai
mat puchh ki kya rang hai zabt-e-gham-e-dil mein
har ashk jo pita hun wo hire ki kani hai
shair ke taKHayyul se charaghon ki lawon tak
har chiz teri bazm mein taswir bani hai
tum jis ko bahut samjhe to ek bund lahu ki
puchho mere daman se aqiq-e-yamani hai
malum hua jab ki raha kuchh bhi na dil mein
bas ek nazar qimat-e-duniya-e-dani hai
iblis ho suqraat ho sarmad ho ki mansur
KHud-agahi har shakl mein gardan-zadani hai
maqsud na bulbul hai na tuti hai na qumri
matlab to chaman walon ka nawak-fagani hai
aasaish-e-geti hai saza be-hunari ki
aazurdagi-e-dil sila-e-KHush-suKHani hai
kin phul fazaon ki tawaqqo mein paDe ho
hoshyar ki yan zauq-e-saba shoala-zani hai
aao chalen us anjuman-e-bul-hawasan se
aatish-nafasai hai na jahan gul-badani hai
'shohrat' se kabhi jaan talab kar ke to dekho
har-chand tahi-dast hai par dil ka ghani hai
Ghazal
Aao ki abhi chhanw sitaron ki ghani hai
Shohrat Bukhari