aansu to koi aankh mein laya nahin hun main
jaisa magar laga tumhein waisa nahin hun main
ab mubtala-e-ishq zyaada nahin hun main
kahte ho tum yahi to phir achchha nahin hun main
KHubi na ho koi magar itna to hai zarur
jhuTi lage jo baat wo kahta nahin hun main
pani pe bante aks ki manind hun magar
aankhon mein koi bhar le to miTta nahin hun main
is tarah KHud ko mujh pe numayan na kijiye
insan hun huzur farishta nahin hun main
raston ke KHam wa pech mein aisa raha hun gharq
ab tak kisi maqam pe Thahra nahin hun main
sauda hai mere sar mein to pairon mein bhi hai dam
chalta hun ek bar to rukta nahin hun main
mano meri bhi baat ki sab kuchh luTa ke bhi
jita hun us ke ishq mein haara nahin hun main
sun lo 'hilal' aaj hi sunna hai jo ghazal
phir mujh se mat ye kahna sunata nahin hun main
Ghazal
Aansu to koi aankh mein laya nahin hun main
Hilal Fareed