aansu meri aankhon se Tapak jae to kya ho
tufan koi phir aa ke dhamak jae to kya ho
bas is liye rahbar pe nahin mujh ko bharosa
buddhu hai wo KHud rah bhaTak jae to kya ho
achchhi ye tasawwur ki nahin dast-daraazi
angiya kahin is but ki masak jae to kya ho
waiz ye gulistan ye bahaaren ye ghaTaen
saghar koi aise mein khanak jae to kya ho
ye chah-kani mere liye bani-e-bedad
tu KHud isi koiyan mein luDhak jae to kya ho
ghurbat se meri subh o masa khelne wale
tera bhi diwala jo khisak jae to kya ho
ye bar-e-amanat tu uThata to hai lekin
nazuk hai kamar teri lachak jae to kya ho
ruk ruk ke zara hath baDha KHwan-e-karam par
luqma koi jaldi mein aTak jae to kya ho
main qaid hun par aah-e-rasa qaid nahin hai
wo jail ki diwar taDak jae to kya ho
ai saqi-e-gulfam zara soch le ye bhi
kulhaD teri hasti ka chhalak jae to kya ho
jallad se ai 'shauq' main ye puchh raha hun
tu bhi yunhi phansi pe laTak jae to kya ho
Ghazal
Aansu meri aankhon se Tapak jae to kya ho
Shauq Bahraichi