اردو हिंदी
Aansu ko apne dida-e-tar se nikalna | Shaahi Shayari
aansu ko apne dida-e-tar se nikalna

Ghazal

Aansu ko apne dida-e-tar se nikalna

Hazin Ludhianvi

;

aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
lagta hai mehman ko ghar se nikalna

sukhe hue shajar mein lahhu to nahin hai KHushk
konpal koi numu ki shajar se nikalna

is yaKH-zada faza mein gar uDne ka qasd hai
be-his ruton ki barf ko par se nikalna

jis subh ke jilau mein shabon ka hujum ho
kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna

jis se shab-e-hayat ka sannaTa TuT jae
aawaz aisi saz-e-hunar se nikalna

sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai
gahri KHabar bhi sathi KHabar se nikalna

rasta kaThin ho lakh na hona 'hazin' malul
pahlu KHushi ka ranj-e-safar se nikalna