aansu ki tarah ponchh ke phenka gaya hun main
tara hun aur zamin pe giraya gaya hun main
qurban-gah-e-gham pe chaDhane ke waste
bachpan mein kitne pyar se pala gaya hun main
tabish-gureziyon ko majal-e-nazar kahan
chashma laga ke dhup ka dekha gaya hun main
go ma-wara-e-waqt bhi hai mujh mein ek chiz
mizan-e-subh-o-sham mein taula gaya hun main
dam le ke lauT jaunga o mezban zamin
qasid bana ke dur se bheja gaya hun main
ai sakinan-e-shahr-e-KHamoshan-e-zindagi
paigham-e-hashr de ke utara gaya hun main
manzil ki qadr hoti hai aawargi ke baad
jannat se is liye bhi nikala gaya hun main
'kausar' libas-e-qahr mein utri hain rahmaten
Thokar laga ke rah pe laya gaya hun main

Ghazal
Aansu ki tarah ponchh ke phenka gaya hun main
Rasheed Kausar Farooqi