aansu ki ek bund palak par jami rahi
phir us ke baad sari faza shabnami rahi
tark-e-talluqat mein us ki KHata bhi thi
thoDi bahut wafa mein idhar bhi kami rahi
baadal ghamon ke kab se baras kar chale gae
aankhon mein is sabab se abhi tak nami rahi
upar se zaKHm-e-hijr ko to hum ne bhar diya
andar se kaifiyat to magar matami rahi
yaran-e-rafta yun bhi bahut tez-gam the
aur hum chale to panw ki gardish thami rahi
Ghazal
Aansu ki ek bund palak par jami rahi
Qamar Siddiqi