اردو हिंदी
Aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua | Shaahi Shayari
aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua

Ghazal

Aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua

Moghisuddin Fareedi

;

aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua
dil mein teri ulfat ka shoala shoala hi raha shabnam na hua

duniya ki bahaaron mein kho kar main apni nazar se chhup jata
sad-shukr dil-e-agah mera dil ban gaya jam-e-jam na hua

tha dagh-e-tamanna ruh-shikan kuchh himmat-e-gham kaam aa hi gai
dil mein to baDe tufan uThe aansu na bahe matam na hua

hum shukr-e-sitam yun karte hain jaise koi neamat mil jae
lekin ye tera andaz-e-nazar nashtar hi raha marham na hua

bikhre hue tinke chun chun kar tamir nasheman kar to liya
tamir-e-nasheman se lekin ehsas-e-tabahi kam na hua

kafi hai 'faridi' ko wo nazar jo marham-e-zaKHm-e-hasti hai
tu ne jise apna gham baKHsha phir us ko kisi ka gham na hua