اردو हिंदी
Aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge | Shaahi Shayari
aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge

Ghazal

Aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge

Natiq Lakhnavi

;

aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge
dil ke sab arman aankhon se nikalte jaenge

ek qayamat hai ibarat wada-e-didar ki
din guzarte jaenge mani badalte jaenge

har nafas hai shamma-e-gham ka shola main jo kuchh kahun
misl-e-parwana mere alfaz jalte jaenge

hai digar-gun haal-e-dil qasid hamein bhi sath le
ja-ba-ja KHat ki ibarat hum badalte jaenge

ishq ki wadi mein 'natiq' gir ke marna hai zarur
har qadam pe kab tak aaKHir hum sambhalte jaenge