aansuon ki ek chadar tan gai hai
dekhne mein raushni hi raushni hai
sukhe patte sab ikaTThe ho gae hain
raste mein ek diwar aa gai hai
gham ka rela zehn hi ko le uDa hai
sochiye to aandhiyon ki kya kami hai
chullu-chullu raushni ko pi raha hun
mauj-e-dariya qatra qatra chandni hai
raat mein dhunka hua suraj paDa tha
din mein 'majid' dhup kali ho gai hai

Ghazal
Aansuon ki ek chadar tan gai hai
Majid-ul-Baqri