اردو हिंदी
Aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna | Shaahi Shayari
aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna

Ghazal

Aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna

Akhtar Muslimi

;

aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna
sard sard aahon mein garmiyan dabi rakhna

kaifiyat gham-e-dil ki ho ayan na chehre se
parda-e-tabassum mein talKHiyan dabi rakhna

kaun sunne wala hai be-hison ki duniya mein
apne gham ki sine mein dastan dabi rakhna

kis qadar anokha hai shewa ahl-e-duniya ka
miThi miThi baaton mein talKHiyan dabi rakhna

KHub hai tumhaara bhi ye kalam-e-fan 'aKHtar'
sada sada sheron mein shoKHiyan dabi rakhna