aankhon se yun charaghon mein Dali hai raushni
hum jaisi chahte the bana li hai raushni
dariya ghurub hone chala tha ki aaj raat
gharqab kashtiyon ne uchhaali hai raushni
apni nashist chhoD ke wan rakh diya charagh
main ne zamin de ke bacha li hai raushni
hathon ka imtihan liya sari sari raat
sanche mein subh-o-sham ke Dhaali hai raushni
main ne kanar-e-sham guzari hai ek umr
main jaanta hun Dubne wali hai raushni
kya rakh gir rahi hai nazar ki munDer se
KHali diya hai aur KHayali hai raushni
is bar tere KHwab mein rakkha hai apna KHwab
is bar raushni mein sambhaali hai raushni
Ghazal
Aankhon se yun charaghon mein Dali hai raushni
Shaheen Abbas