aankhon se wo kabhi meri ojhal nahin raha
ghafil main us ki yaad se ek pal nahin raha
kya hai jo us ne dur basa li hain bastiyan
aaKHir mera dimagh bhi awwal nahin raha
lao to sirr-e-dahr ke mafhum ki KHabar
uqda agarche koi bhi mohmal nahin raha
shayad na pa sakun main suragh-e-dayar-e-shauq
qibla durust karne ka kas-bal nahin raha
dasht-e-fana mein dekha musawat ka uruj
ashraf nahin raha koi asfal nahin raha
hai jis ka taKHt sajda-gah-e-KHas-o-am-e-shahr
main us se milne ke liye be-kal nahin raha
jis dam jahan se Dolti Doli hi uTh gai
tabl o alam to kya koi manDal nahin raha
Ghazal
Aankhon se wo kabhi meri ojhal nahin raha
Saadat Saeed