اردو हिंदी
Aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa | Shaahi Shayari
aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa

Ghazal

Aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa

Nadeem Mahir

;

aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
main luT gaya par tera taghaful nahin TuTa

tishna tha main bahta raha dariya mere aage
lekin mere honTon ka tahammul nahin TuTa

sadiyon se baghal-gir hain ek duje se lekin
dariya ke kinaron ka tajahul nahin TuTa

uljha hun kai bar masail ke bhanwar mein
main TuT gaya mera tawakkul nahin TuTa

KHamosh hua chiKHte dariya ka talatum
a tesha-e-farhad tera ghul nahin TuTa