اردو हिंदी
Aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae | Shaahi Shayari
aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae

Ghazal

Aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae

Meer Hasan

;

aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae
par sath us ke lipTa hua dil kahin na jae

itni to chahiye tujhe pas-e-shikasta-dil
jo aawe tere yan so wo andohgin na jae

sabr-o-qarar-o-hosh-o-KHirad sab ke sab ye jaen
par dagh-e-ishq sine se ai ham-nashin na jae

dair-o-haram mein ja ke jo chahe phir aa sake
par aawe jo gali mein teri wo kahin na jae

hum girya-nak hain ye sada se hai aib-posh
aankhon se dur apne kahin aastin na jae

hai para-e-aqiq jigar dekhiyo kahin
ai chashm tere hath se aisa nagin na jae

nikle na jaan tan se 'hasan' ki to tab talak
jab tak tu us ke sar pe dam-e-wapsin na jae