اردو हिंदी
Aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai | Shaahi Shayari
aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai

Ghazal

Aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai

Nayyar Aasmi

;

aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai
nadani-e-ulfat kar baiThe is baat pe rona aata hai

har sans hai ek talwar bani har nafs hai gham ka paimana
karte hain mohabbat jo un ko kanTon pe bhi sona aata hai

ab dil ko hai samjhana mushkil jo TuT gaya so TuT gaya
kya baat banegi hansne se hanste hain to rona aata hai

baKHshe hain tu ne lakh sitam gham mujh ko diye hain tera karam
hum ko bhi ghamon ke tiron ko sine mein chubhona aata hai

bahte hue ashko ruk jao arman ke dhaaro tham jao
dekho to tasawwur mein mere sajan wo salona aata hai