اردو हिंदी
Aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai | Shaahi Shayari
aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai

Ghazal

Aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai

Aitbar Sajid

;

aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai
ab aa bhi chuko waqt-e-masihai to ab hai

pahle gham-e-furqat ke ye tewar to nahin the
rag rag mein utarti hui tanhai to ab hai

tari hai tamannaon pe sakraat ka aalam
har sans rifaqat ki tamannai to ab hai

kal tak meri wahshat se faqat tum hi the aagah
har gam pe andesha-e-ruswai to ab hai

kya jaane mahakti hui subhon mein koi dil
shamon mein kisi dard ki ranai to ab hai

dil-soz ye tare hain to jaan-soz ye mahtab
dar-asal shab-e-anjuman-arai to ab hai

saf-basta hain har moD pe kuchh sang-ba-kaf log
ai zaKHm-e-hunar lutf-e-pazirai to ab hai