aankhon se apni 'asif' tu ehtiraaz karna
ye KHu buri hai in ka ifsha-e-raaz karna
jate to ho piyare ukta ke mujh kane se
par waste KHuda ke phir sarfaraaz karna
do-chaar din mein zalim howegi KHat ki shiddat
ye husn aarzi hai is par na naz karna
phirte ho tum har ek ja hum bhi to aashna hain
yan bhi karam kabhi ai banda-nawaz karna
dil to bahut liye hain tum ne har ek ja se
is mere dil ka sahab kuchh imtiyaz karna
Ghazal
Aankhon se apni aasif tu ehtiraaz karna
Asif-ud-Daula