اردو हिंदी
Aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha | Shaahi Shayari
aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

Ghazal

Aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

Moid Rashidi

;

aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha
main KHud ko dekhta raha main KHud ko sochta raha

KHud ko pukarta raha, koi KHabar nahin mili
kis ki KHabar nahin mili, kis ko pukarta raha

us ki talash hi na thi, apni talash bhi na thi
khone ka KHauf kuchh na tha, phir kaisa fasla raha

kuchh masale to ghar gae, kuchh masale bikhar gae
sab masale guzar gae aur ek masala raha

wo bhi bikhar bikhar gaya main bhi idhar udhar gaya
wo bhi dhuan dhuan sa kuchh main bhi ghubar sa raha

lafzon ki shaKHen phail kar mere lahu se aa milin
kuchh qahqahe uchhal gae aur koi chiKHta raha