اردو हिंदी
Aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain | Shaahi Shayari
aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain

Ghazal

Aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain

Sarvat Husain

;

aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain
bajre lage bandar-gah pe saudagar aate hain

zard zabur tilawat karti hai taswir KHizan ki
ain-bahaar mein kaise kaise KHwab nazar aate hain

gandum aur gulabon jaise KHwab shikasta karte
dur-daraaz zaminon wale shahr mein dar aate hain

shahzadi tujhe kaun batae tere charag-kade tak
kitni mehraben paDti hain kitne dar aate hain

band-e-qaba-e-surKH ki manzil un par sahl hui hai
jin hathon ko aag chura lene ke hunar aate hain