aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
kashti ke musafir ne samundar nahin dekha
be-waqt agar jaunga sab chaunk paDenge
ek umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha
jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi mil ka patthar nahin dekha
ye phul mujhe koi wirasat mein mile hain
tum ne mera kanTon bhara bistar nahin dekha
yaron ki mohabbat ka yaqin kar liya main ne
phulon mein chhupaya hua KHanjar nahin dekha
mahbub ka ghar ho ki buzurgon ki zaminen
jo chhoD diya phir use muD kar nahin dekha
KHat aisa likha hai ki nagine se jaDe hain
wo hath ki jis ne koi zewar nahin dekha
patthar mujhe kahta hai mera chahne wala
main mom hun us ne mujhe chhu kar nahin dekha
Ghazal
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
Bashir Badr