aankhon mein raat KHwab ka KHanjar utar gaya
yani sahar se pahle charagh-e-sahar gaya
is fikr hi mein apni to guzri tamam umr
main us ko tha pasand to kyun chhoD kar gaya
aansu mere to mere hi daman mein aae the
aakash kaise itne sitaron se bhar gaya
koi dua kabhi to hamari qubul kar
warna kahenge log dua se asar gaya
nikli hai fal ab ke ajab mere nam ki
suraj hi wo nahin hai jo Dhalne se Dar gaya
pichhle baras haweli hamari khanDar hui
barsa jo ab ke abr to samjho khanDar gaya
main puchhta hun tujh ko zarurat thi kya 'nizam'
tu kyun charagh le ke andhere ke ghar gaya
Ghazal
Aankhon mein raat KHwab ka KHanjar utar gaya
Sheen Kaaf Nizam