اردو हिंदी
Aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho | Shaahi Shayari
aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho

Ghazal

Aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho

Zia Jalandhari

;

aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho
jis samt safar mein hai meri zat wo tum ho

jo samne hota hai koi aur hai shayad
jo dil mein hai ek KHwab-e-mulaqat wo tum ho

din aae gae jaise sarae mein musafir
Thahri rahi aankhon mein jo ek raat wo tum ho

har baat mein shamil hain tasawwur ke kai rang
har rang-e-tasawwur mein hai jo baat wo tum ho

jab dhul hue rah-e-safar mein to ye jaana
manzil-gah-e-jaan hain jo maqamat wo tum ho

dukh had se jo guzra to khula dil pe ki yun bhi
dar-parda hai jo mahw-e-mudaraat wo tum ho

dil-jui ka andaz bhi narmi bhi wahi hai
sine pe hawa rakhti hai jo hat wo tum ho

baqi to andhere hi muhit-e-dil-o-jaan hain
mahr-o-mah-o-anjum hain jo lamhat wo tum ho

han mujh pe sitam bhi hain bahut waqt ke lekin
kuchh waqt ki hain mujh pe inayat wo tum ho