aankhon mein mauj mauj koi sochne laga 
pani mein be-sabaat nagar Dubne laga 
ek shaKH-e-rang hat se mausam ke chhuT gai 
KHali badan ragon mein koi loTne laga 
hai apne darmiyan koi fasl-e-narawa 
dahliz pe khaDa mein kise sochne laga 
wo rauzan-e-KHayal, sada, saegi saman 
phir harf zahr zahr zaban gholne laga 
main ek barg-e-KHushk kabhi ka asir-e-gard 
phir kaun Dal Dal mujhe Tankne laga 
main bolta raha to kisi ne nahin suna 
main chup hua to sara nagar gunjne laga
        Ghazal
Aankhon mein mauj mauj koi sochne laga
Farooq muztar

