aankhon mein KHwab taza hai dil mein naya KHayal bhi
aur jo mehrban rahe gardish-e-mah-o-sal bhi
milne ki ehtimam tak hum tere muntazir rahe
ab to nahin raha magar milne ka ehtimal bhi
waqt kahan ruka bhala par ye kise guman tha
umr ki zad mein aaega tujh sa pari-jamal bhi
us ne diye the phul jo ab use kya dikhaiye
rakhta nahin hai jabki dil KHwahish-e-indimal bhi
KHwab-e-jamal taza-tar aaya tha chor ki tarah
khurach ke dil se le gaya aap ke KHad-o-KHal bhi
lao to main hi Tank dun tare ko aasman par
mere hi hath se agar hona hai ye kamal bhi
Ghazal
Aankhon mein KHwab taza hai dil mein naya KHayal bhi
Akram Mahmud