aankhon mein jo hamari ye jalon ke dagh hain
ye to hamare apne KHayalon ke dagh hain
meri hatheliyon pe jo mehndi se rach gae
ye aansuon mein bhige rumalon ke dagh hain
bahar nikal ke jism se jaun to kis tarah
sankal kahin kahin pe ye talon ke dagh hain
tum jin ko kah rahe ho mere qadmon ke nishan
wo sab to mere panw ke chhaalon ke dagh hain
kajal mein ghul ke aur ziyaada nikhar gae
ashkon ko ye na kahna KHayalon ke dagh hain
hal hote hote us ki natije pe aa gae
jitne jawab hain wo sawalon ke dagh hain
aate hi mere pas jo akasr chhalak paDe
honTon pe mere aise hi pyalon ke dagh hain
aise bhi log hain jo sitaron ko dekh kar
kahte milen hain ye to ujalon ke dagh hain
jo mujh mein dekhte hain mere bhi hain ai 'kunwar'
kuchh un mein mujh ko dekhne walon ke dagh hain
Ghazal
Aankhon mein jo hamari ye jalon ke dagh hain
Kunwar Bechain