aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan
uThta to hai ghaTa sa barasta nahin dhuan
palkon ke Dhanpne se bhi rukta nahin dhuan
kitni unDelin aankhen pa bujhta nahin dhuan
aankhon se aansuon ke marasim purane hain
mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan
chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai
kuchh roz ho gae hain ab uThta nahin dhuan
kali lakiren khinch raha hai fazaon mein
baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuan
aankhon ke pochhne se laga aag ka pata
yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan
chingari ek aTak si gai mere sine mein
thoDa sa aa ke phunk do uDta nahin dhuan
Ghazal
Aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan
Gulzar