aankhon mein haya rakh ke bhi bebak bahut the
the tere gunahgar magar pak bahut the
main apna samajhti rahi arbab-e-wafa ko
wo ghair se milte rahe chaalak bahut the
ye bhi koi ulfat ka tariqa hai jahan mein
rah rah ke jale hijr mein hum KHak bahut the
masum ko phir mar diya kokh mein man ki
qisse jo sune hum ne wo ghamnak bahut the
hum log 'sabin' narm-mizaji ke payambar
jo log mile hum se wo saffak bahut the
Ghazal
Aankhon mein haya rakh ke bhi bebak bahut the
Ghausiya Khan Sabeen