aankhon mein hai par aankh ne dekha nahin abhi
wo but jise ki main ne tarasha nahin abhi
lafzon ke pattharon mein sanam be-shumar hain
mere hi pas soch ka tesha nahin abhi
sadiyon se naqsh hai jo tasawwur pe shahkar
kaghaz pe us ka aks utara nahin abhi
barson se mere sar pe hai TukDa ek abr ka
jal-bujh chuka hai jism wo barsa nahin abhi
jine se bhar chuka hai dil-e-zar kya karun
marne ki aarzu-o-tamanna nahin abhi
manind-e-mulk-e-rome luTi ghar ki saltanat
yaron ye saneha mujhe bhula nahin abhi
'shahid' nigar KHana-e-sad-rang hai jahan
phir bhi wo naqsh aankh se utra nahin abhi
Ghazal
Aankhon mein hai par aankh ne dekha nahin abhi
Shahid Shaidai