aankhon mein hai kaisa pani band hai kyun aawaz
apne dil se puchho jaanan meri chup ka raaz
us ke zaKHm ko sahna rahna us mein hi mahsur
us ke zulm pe hans kar kahna teri umr daraaz
teri marzi KHushiyon ke ya chheD ghamon ke rag
tu meri sur-tal ka malik main hun tera saz
dil ki har dhaDkan ka maujib did shunid teri
sine mein jalti sanson ka tu hi ek jawaz
aur si aur hua hai sajan zist ka har mafhum
aur si aur hui hai meri sochon ki parwaz
tujh bin kaun banega KHali aankhen gung sada
tujh bin jaan karega 'tahir' kis se raaz niyaz
Ghazal
Aankhon mein hai kaisa pani band hai kyun aawaz
Tahir Adeem