aankhon mein hai basa hua tufan dekhna
nikle hain dil se yun mere arman dekhna
bhula hun jis ke waste main apne aap ko
wo bhi hai mere haal se anjaan dekhna
dekha jo muskuraate hue aaj un ko phir
raushan hua hai jine ka imkan dekhna
hai harf harf zaKHm ki surat khila hua
fursat mile to tum mera diwan dekhna
chaaron taraf hai phaila hua sabza-zar sa
baadal ka hai zamin par ehsan dekhna
aankhon mein ashk lab pe fughan dil figar sa
rah-e-wafa mein jine ka saman dekhna
chalta hun ehtiyat se 'faruq' is liye
kar lun na phir kahin koi nuqsan dekhna
Ghazal
Aankhon mein hai basa hua tufan dekhna
Zubair Farooq