aankhon mein chubh rahi hai guzarti ruton ki dhup
jalwa dikhae ab to nae mausamon ki dhup
sham-e-firaq guzre to suraj tulua ho
dil chahta hai phir se wahi qurbaton ki dhup
is mein tamazaten bhi sahi shiddaten to hain
ulfat ki chhanw se hai bhali nafraton ki dhup
main us ke waste hun bahaaron ki chandni
us ka wajud mere liye sardiyon ki dhup
mahrumi-e-visal hai 'nasir' mujhe qubul
is par magar paDe na kabhi gardishon ki dhup
Ghazal
Aankhon mein chubh rahi hai guzarti ruton ki dhup
Nasir Zaidi